Song : Jab Mein Bhatak Jaata Hu
Album : Sanskar

Jab mein bhatak jaata hu path se
Jab mein bhatak jaata hu path se
ishwar raah dikhate hain
Jab mein bhatak jaata hu path se
ishwar raah dikhate hain

aasha jyoti jalate hain

Ishwar bhakti sukh ka saagar
jo bhi chahe bhar le gaagar
ishwar bhakti sukh ka saagar
jo bhi chahe bhar le gaagar
jaisi bhawna mann ki hoti
waise dikhte hain parmeshwar
kan kan mein hain prabhu ki aabha
sab pe daya lutate hain
Jab mein bhatak jaata hu path se
ishwar raah dikhate hain

Suraj chand sitare banakar
dharti par hareeyali sajakar
suraj chand sitare banakar
dharti par hareeyali sajakar
jeev jagat ko sop diya hain
jeevan bagiya phool khilakar
bhor mein roop kiran ka lekar
prabhu nity mujhe jagate hain
Jab mein bhatak jaata hu path se
ishwar raah dikhate hain

Kaise kahu prabhu door hain mujhse
har pag mein anubhav karta hu
kaise kahu prabhu door hain mujhse
har pag mein anubhav karta hu
pyase ko paani bhuke ko bhojan
dete wohi aaisa lagta
jab tann mein pida hoti
prabhu aushad banke aate hain
Jab mein bhatak jaata hu path se
ishwar raah dikhate hain
mere sune se jeevan mein
aasha jyoti jalate hain


Back to lyrics